Naa Jaane Kyon
1st hindi poem, so go easy on me ;)
---------------------------------------------
Din ke ujaalon mein kisi ko dhoondna,
Raat ke andheron mein yun hi ghum jaana,
Naa jane kyon, lagta hai jaise teri chahat hi hai.
Har pal, har ghadi, tera hi intezaar karta hoon,
Har disha se teri hi aahat sunta hoon,
Naa jane kyon, lagta hai jaise teri mohabbat hi hai.
Shaamon ka mujh par aisa asar jataana,
In hawaon ka mujhe kuch is tarah satana,
Naa jane kyon, lagta hai jaise ye teri sharat hi hai.
Bas kuch palon ka saath tha,
Na tha phir koi vaasta,
Naa jane kyon, phir bhi ek kashish si hai.
Un palon mein waqt jaise tham sa gaya,
Us ek nazar mein dil mera tap sa gaya,
Naa jane kyon, aaj bhi wahi tapish si hai.
Aaj bhi aankhon mein kuch nami si hai,
Tere bina jaise koi kami si hai.
Naa jane kyon, tere bina, dil mein ek khalish si hai.
(happy ending)
Kise pata tha ki yun phir milenge,
Kisne socha tha ki sang rahenge,
Naa jane kyon, lagta hai ye meri amaanat si hai.
Rakhe hue yun tu mere kandhe par sar,
Beet jaye bas yunhin waqt saara,ab kise hai fikar,
Naa jane kyon, lagta hai ab na koi shikaayat si hai.
Har janam ek duje pe fidaa hon,
Saath jiya hai, ab saath vida hon,
Naa jane kyon, ab yahi ek aakhri ijaazat si hai.
(sad ending)
Kya pata tha mujhe ki milenge hum teri chitah par,
Aag thi wahan aur jal raha tha main yahan par,
Naa jane kyon, aaj tak isse bhasm kar paya nahi hoon.
Mar kar bhi aaj zinda hai tu mujhme,
Yaad karke tujhe har pal maut main marta hoon.
Naa jane kyon, aaj bhi khuda se tere liye dua hi maangta hoon.
Teri chitah pe aaj bhi apni maut ka intezaar karta hoon,
Teri yaadon ke beech main apna shradh karta hoon.
Naa jane kyon, raakh mein aaj bhi main tujhe hi dhoondta hoon.